Haidh ki haalat me Qur'an Shareef ka parhna

· 15 Jumada II 1436 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhawateen ke Masaail

Question

Haidh ki haalat me Quraani ayat parh sakte he bagair Qur'aan chuye? Kuch log kehte he ke nahi padhna chaye phir din ki shuru se lekar raat me sone tak to dua ka ehtamaam karna hota he. Agar is halat me na parhe to ye 5-7 din tak bagair dua ke kaise rahe?

Answer

Haidh ki haalat me Qur'an Shareef ku haat lagaana owr parhna jaaiz nahi he. Lekin Dua owr azkaar ka parhna haidh ki haalat me jaaiz he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.