Khwaab ki ta'beer

· 6 Shaʻban 1436 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beer

Question

Maine aaj raat ko hi khwaab dekha (Thursday). Maine khwaab mai dekha bohot buzurug aate jaate they. Mai ek buzurug ke paas gaya sabz kapde pehne they safed daadi sharif aur sar pe sabz amama shareef tha. Maine usai salaam ki toh dekha uske right hand ka jo thum hai waha haddi (bone) nai hai maine usai pata nai kya kaha usne muje dua di kaha khuda tmhe kamyab karega aur tm 10 saal k baad naik bande banoge maine kaha mar marjaonga huzoor saw ka ummati banalo usne kaha 5 saal mai banoge phr usbuzurug ne kaha muje jadi hai phr maine usai poocha daant mai dard hota hai jaldi dawa do usne jaldi jaldi mere daant pe ungliyan rakhi aur kuch padne laga aur nikal gaya. Mere exam bhi chal raha hai aur kal Saturday ko muje daant bhi nikalna hai.

Answer

Purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram auwrato owr larkiyo ke saat owr paanch waqt ke namaaz paabandi se parhliya kare. Aankh, kaan, zabaan owr dil ki hifaazat hamesha kare tamaam gunaaho se. Neak subat me raha kare. Ayse Ulama' ki ittibaa' kare jo Sunnat ki mutaabiq apni zindagi guzaarte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.