Chaand par Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) likha huwa dekhna

· 18 Rabiʻ I 1437 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudreamfollowing the sunnah

Question

Mai ney kal raat khawab dekha, jo mujey kuch yaad hai aur kuch bhool giaya hai. Par itna yaad hai key mai ney dekha key, chaand par Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) likha huwa hey aur mai usey dekh raha hu. Takreeben aik saal pehley bhi mai ney aisa hi khawab dekha tha key chand par Muhammad likha huwa hai. Meherbani farma kar tabeer bata dai.

Answer

Paanch waqt ki namaaz ku apne saheeh waqt par pahne ka ihtimaam kare owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare. Issy tarah har kaam ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki Mubaarak Sunnat ke mutaabiq karne ki kowshish kare owr gunaaho se parhez kare. Allah Ta'ala aap ku kaaimiyaab banaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.