Khwaab ki ta'beer

· 25 Jumada I 1437 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Mujhay dream ki tabeer jaan'ni thi. Actually meri mamma nay mera rishta pakka honay say ek raat pehlay ek khuwaab dekha tha. Jis me unhonay dekha ke hamaaray ghar me aag lagi hui hai aur kisi nay aag khud lagaai hai ooper bhi aur ghar ke neechay java jahaan bahar jaanay ka darwaaza hai' taakay ham bahar naa nikal sakein khuwaab me meri mamma hamein bacha rahi hain mere behen bhaiyon ko aur bahar nikaal rahi hain phir thori der baad barish hojaati hai ham ghar say bahar hain aur sab theek hai paani paani hota hai mamma khush hain.

Answer

Allah barkat de. Ghar me rozana ta`leem kare, zikr kare, aur Qur'aan ki tilaawat subuh shaam kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.