Ghusse ki halat mein yeh kah de ki mai Islam ko nahi manta
Question
Mera sawaal yeh hai ke agar koi Muslim gusse ki halat mein yeh kah de ki mai islam ko nahi manta to kya woh islam se kharij ho gaya? Agar Islam se kharij ho gaya to phir use Islam mein dakhil hone ke liye kya karna hoga?
Answer
Is tarah kehne se wo Islam se khaarij ho jata he. Do bara Islam mei daakhil hone ke lie us ku chaahiye ke wo kalima Tayyiba parhe aur taubah aur istighfaar kare nadaamat ke saath aur pukhta azam kare ke aainada wo eisa sakht aur sangeen ghuna nahei karega. Issi tarah usku chaahiye ke wo bure lawg ke suhbat se bache aur bure akhbaar se bhi ihtiraaz kare, aur kasrat se kalima tayyiba parhe.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
- Checked & approved by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.