Khwaab par poora i'timaad ne karna

· 21 Muharram 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Mera jaha rishta hone wala hai unlogo ne istikhaara kiya toh khawaab acha hai aur jab main ne kiya toh ye aaya ke main ek jungle main fassi hui hu aur gorilla mere piche pada hua hai aur meri aankh rote rote khuli. Khawaab kareeb 5:30am baje aaya tha.

Answer

Khwaab par poora i'timaad ne kare. Ba'd dafa zehni khiyaalaat ki wajah se khwaab dekhe jaate he. Jis rishta ke lia istikhara ho raha he, wo dekh lia jae ke agar wo neak he owr us ke Deen, Akhlaaq owr aadaat achche he, owr aap larki ke khaandaan se bhi khush he, to un se nikaah karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.