Qard ki adaayegi ke waqt qazdaar mazeed paisa dena

· 1 Rabiʻ I 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsTijaarat aur us ke mutalliq masaailurduloangiving extrainterest

Question

Mera ayk hidou dost ha wo kbhe kbhe mugh sy kuch passy leta ha apny buisness ke ly or phr kuch munfa ke sath mughy wapis kar deta ha. Me ne kbhee koe shart nahi rakhee ke mughy etna munafa do. Wo apni marzi se munfa deta ha. Kya yeh munafaa sood he?

Answer

Agar aap ke yaha ye hindo aur doosre logo ki aadat he ke qard ki adaayegi ke waqt wo mazeed paise dete he, to us ka lena aap ke lie jaaiz nahei he. Aur agar aap ke yaha ye hindo aur doosre logo ki aadat nahei he, aur issi tarah un ke ne dene se aap ku apne dil me qissi qism ki garaani ne ho, to is mazeed paise ka lena aap ke lie jaaiz he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.