Khwaab ki ta'beer
Question
Meri biwi ne khwaab main meri ammi, dono bhabhiyo aur meri behan ko dekha hai jis main wo sub apas main batai kar rahy hain mari behan ghar main a kar shor karti hai lakin in sub main kisi ny bhi meri bv sy kuch nahi kha wo khamosh hai. Is time meri biwi haamila hai aur wasy bhi ye sub log nahi chahty ke meri han koi ulaad ho. Barye karm khuwab ki tabeer bata dain.
Answer
Aap apne saare rishtidaaro ke saath hamesha acha sulook aur bartaawo kare aur apne dil ku un ki taraf saaf rakhe. Allah Ta'ala aap ke khandaan waalo ke dilo me eik doosre ke lie mahabbat aur ulfat paida farmaaye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.