Khwaab ki ta'beer
Question
Muje ek khwab ki tabeer chahie thi. Maine kuch din pehle namaz istikhara padi thi tou raat main mai ne khwab mai dekha ki muje mehandi laga rahe thy donu haathu p or jis k saath mai shaadi karna chahti hun wo saamne tha mere. Muje please jaan na tha ye khwab sahi hai ki ghalat. Mai bohat pareshaani se abhi guzar rahi hun tbi namaz istikhara padi thi. Ab khwaab ka kuch maloom nai muje. Meharbaani kar ke help kijiye. Shukria
Answer
Acha khwaab he. Allah Ta'ala aap ki dilli tammana poori farmaaye aur aap ku khush rakhe.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.