Ilm-e-ghaib kya hai?

· 10 Jumada II 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsAqeedaurduaqaaidknowledge of the unseen

Question

Ilm e gaib kise kahte hai? Nabi word ka mayna kya hota hai, agar chhupi hui cheez ka ilm gaib kahlata hai to ye sabit keejiye ki Allah se bhi kuch chhipa hai?

Answer

Ilm e ghaib Allah Ta'ala ke saath khaas he. Allah Ta'ala ke alaawa kissie aur ku ye ilm haasil nahei he. Ilm e ghaib ka ma'na ye he ke har waqt har cheez khaa dunya me ya aakhirat me Allah Ta'ala ke saamne ho owr bilaa waasta Allah Ta'ala ku uska poora ilm he kyoonke har jaga Allah Ta'ala haazir aur naazir he aur har cheez se baa khabar he, aur zarra baraabar koi cheez Allah Ta'ala se makhfi nahei he. Allah Ta'ala har cheez ku har waqt dekhte he aur jaante he aur us ka kaamil ilm rakhte he. Zaahir he ke is tarah ka ilm ne kissie nabi ya wali ya farishta ku haasil he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.