Khwaab ki ta'beer

· 23 Jumada II 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Main poochna chahta hon ke kal raat main ne aik khawab dekha ha ke mery abu or teeno uncle (chachu) sub bethy khana kha rahy hain to achanak sy kisi wja sy mery darmyan waly chachu jin ki abi tak shadi nai hui ha un ko mery abu shadi k liye force krty hain or dant dety hain. Itny main baqi do chachu bhi un par chillany lagty hain or darmyan waly chachu uth k room main chaly jaty hain un k pechy pechy ye teeno yani k mery abu or 2 chachu chilaty howy jaty hain or phr thori dair bad ye teeno roty howy bahir nikal aty hain main pochta hon to mjy kehty hain khud dekh lo jaa k to dekhta hon k unhon ny apny dono thumb kat liye hain or blood nikal raha ha un sy or itny main dar k me uth jata hon kindly is ki tabeer bata dain.

Answer

Allah Ta'ala khaandaan waalo ke dilo mahabbat owr ulfat ayk dowsre ke lia paida farmai.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.