Shifa ke liye dua
Question
Mere daddy ki dono kidney fail hain or woh dialysis par hain hafte main 3 din unka dialysis hota hai or diabetes bhi hai toh diabetes k liye woh medicine or din main 2 baar insulin lete hai unki age 50 hai 2 saal ho gaya hai dialysis main daddy koh bahut takleef hoti hai jaise bp low ya high ho jaana or unki aankh seh bhi kaam dikhta hai kaan seh kaam sunaye deta hai sir dard dena yeh saab hota hai plz aap kuch aise dua ya aisa kuch bataye jissey ki unki kidney kaam khud seh kare iss bimari seh hamesha k liye Sifa mil jaye or jaldi thik ho jaye operation ka bhi bahut masla hai iss liye aap kuch aisa bata deh jissey ki unki kidney chalu ho jaye naa dialysis ki zarurat ho or unhe haar bimari seh sifa mil jaye
Answer
Har namaaz ke ba`d aap jee laga karke du`aa kare. Allah shifaa kaamila aajila naseeb farma.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.