Khaandaan me har ayk alag alag qurbaani karna
Question
Plz muje ye bta den k hm qurbani kr rhe hy to jese 4 bande hy balig to 4 k naam le kr qurbani krni hogi ya ni? Ya ghr ka sarbaha krle sirf 1 bakre ki to kia qurbani hojaegi? Thori wazahat paish krden.
Answer
Agar un chaar baaligh aadmiyo ke paas zakaat ke nisaab ke baraabar paise he, to un sab par Qurbaani waajib he. Har ayk, ayk bakri zabah kare ya bare jaanwar me sa (ghai ya oont) ayk saatwa hissa. Ayk bakri ki Qurbaani karna sab ki taraf se kaafi nahi he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
- Checked & approved by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.