Shohar Talaaq nahi dena chahta he
Question
Meri Sadi ko 8 sal ho chuke Hai Mai apne husband se 6 sal se alag rah rahi hun apne parents k Ghar par. Mai apne husband se khula Lena chahti hun. In 6 salo Mai husband se Koi bhi contact and khrcha nhi liya Hai Hai lekin fir bhi vo khula nhi Dena chahte bol rahe tumhe jindagi bhar isi trah presan krta rahoga... plz mujhe koi Rasta bataye
Answer
Apni maqaami Jamiatul Ulama ke paas jaaw aur un se madad le le. Zaroori tahqeeq karne ke ba'd agar saabit hojai ke aap ke showar aap ke izdiwaaji huqooq poora nahi kar rahe he, aur na aap ku talaaq ya khula dena chaahte hei, to wo log nikah ku faskh karenge.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
- Checked & approved by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.