Susti ka ilaaj
Question
Mujhe susti aur neend bahuthh badhti jaa rahi hay aur ek waqth ka Namaz ki toufeeq bhi nahi mil rahi hay. Mera padhaayi may bhi my concentration kar nay paa raha hu. "Kuch aisa amal bata dee jiye ke my Namazi banu aur Deen aur duniya may kaamiyaabee paa saku". Iss gunahgaar bande ke liye thoda dua kee jiye hazrat.
Answer
Aap nek logo ki majlis me betho jis qadar muyassar ho aur "Laa ilaaha illallah" ka wird kathrat se parho. Agar neko ki suhbat muyassar ne ho to nek logo ki kitaabo ka mutala`ah karo, jaysa ke Fazaa'il A`maal, Fazaa'il Sadaqaat aur Bahishti Zewar.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.