Oral sex aur anal sex

· 18 Dhuʻl-Qiʻdah 1439 AH2 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsShaadiHumbistari ke muta'alliq

Question

Main ne oral sex k baray poocha tha ap ka jawab tha k soch ker hi matli hoti hei ap ki bat sahi hei lekin jo log is ghalazat mein mubtila hein un ki samajh mein is terah nhi aata un k liye kam az kam koi hadees ya koi aisa hawala jo yeh sabit kerday k yeh amal gher pasandeeda hei shariyat mein is k ilawa ager ek shohar aur biwi apnay izdawaji taluqat mein her had par ker jain yani woh anal sex bhi kerein oral bhi aur yahan tak k ayam e haiz mein bhi aur dono ki raza mandi ho is mein to un k liye kia hukum hei jab samjhanay ki koshish kero k yeh ghalat hei to shohar to sunta hi nhi aur biwi kehti hei k shohar ko khush rakhnay ka hukum hei shariyat mein ap se hawala jat k sath jawab ki darkhuast hei aur aisay logon ki hidayet k liye dua bhi fermain

Answer

Hadeeth shareef me aata he ke jo aadmi koi jamaat aur giroh ka naqshe qadam ikhtiyaar karta he to usee me uska shumar hota he. Ye amal janwaro ka he. Kya koi saahibe aql chaahta he ke uska shumaar janwar, kutta aur khinzeer ke saath ho jaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.