Aayat ki tafseer zina karne wala aur zina karne wali ke baare me

· 11 Safar 1440 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsQur'an ke mutaalliq

Question

Allah ne Quaran m farmaya hai ki jo zinakar hoga uski biwi bhi zinakar hogi, ar Esa Quran m hai to saudis sab hazraat shadi s pehle virginity k liye medical test kyun karwate hain? Agar koi aadmi zinkaar hai to jisse wo shadi karta hy phir to us aurat par shaq k khayal ayega bcz Allah ne faramaya h ki jo zinakar hai uski wife bi wasi milegi? Ar agar esa Allah n nhn farmaya to phir log esa kyun bolte hain....ya phir quran m exact surah & aayat number batane ki mehrbani kren.

Answer

Aayat ka ma'na ye nahi he jeise ke aap ne samjha, balke aayat ka ma'na ye he ke zina karne wale mard zina karne wali aurato ki taraf maail hote he. Lihaza har soorat me ye nahi hoga ke agar shohar ne zina kya, to us ki biwi ne zina bhi kya he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.