Ihraam ke beghair meeqaat se guzarna

· 26 Safar 1440 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsHajj owr Umrah

Question

Meri wife Umrah per aarahi thi unho nay ghar say niyat nehin ki some problem ki waja say unho nay socha kay woh meqat per neyat kary gi lakin airport per un ki tabyat kharab ho gai iswaja say meqat per bhi niyat nehin ki aur bagair neyat kay Makkah mein enter ho gai. Meri job Riyadh mein he aur woh Haram nehin ja sakti thi jis ki waja say mein un ko Riyadh lay aaya mujhe batay kia dm wajib ho gia?

Answer

Ihraam ke beghair meeqaat se guzarna jaaiz nahi he. Is ghunaa aur jinaayat ki wajah se eik dam waajib hogaya. Dam se muraad eik bakri ya dumba jo haram ke hudood me zabah kiye jaye jinaayat ke liye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.