Taubah ka tareeqah
Question
Agar hamare se gunah hogaya to Allah se is gunaah se tawba kaise kare?
Answer
Do rakaat namaaz taubah ki niyyat se parhe aur der tak Allah Ta`ala se muaafi maangte rahe. Astaghfirrullah ya Astaghfirullah-allazi laa ilaaha illa huwal hayyul qayyoomu wa atoobu ilayh kasrat se parho, aur aaindah keliye Allah Ta`ala se wadah kare ke gunah nahi karega aur jin logo aur jageh ke aane jaane se gunah ke khiyalaat aur maylaan ho un se sakht ihtiyaat kare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.