Nafil namaazo ke sawaab Ambiyaa aur Buzrugaan-e-deen ko bejna
Question
Meri walida isha ki namaz ke bad 2 rakat nafal namaz Allah pak ke naam ke, 2 rakat Hazrat Muhamad (sallallahu alaihi wasallam) ke naam ke, 2 2 rakat Hazrat Hassan aur Hazrat Hussain (radhiyallahu anhuma) ke naam ke, 2 rakat Hazrat Bibi Fatima (radhiyallahu anha) ke naam ke 2 rakat tamam Ummul Mumineen ke naam ke, 2 rakat Gouse paak ke naam ke, 2 rakat Hazrat Uwais Qarni ke naam ke, 2 rakat tamam Pegumbero ke naam ke, 2 nafal Ma Hawa Bibi aur Hazrat Adam (alaihis salaam) ke name ke, 2 rakat shukrana ke path. Kiya ye theek he?
Answer
Agar aap ki waalida in nafil namaazo ka sawaab Ambiyaa aur buzrugaan-e-deen ke liye bhejti he, to ye jaaiz he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
- Checked & approved by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.