Bank se loan lekar umrah ya hajj karna

· 11 Rabiʻ II 1442 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsHajj owr Umrah

Question

Kiya bank se loan lekar hum umrah ya hajj kar sakte hai? Hum job karte ho bank me phir bhi ye jaiz hai? Aise ho jaegaa umrah ya hajj... yaa hum kisi se udaaar lekar kar sakte hai hajj ya umrah?

Answer

Nahi. Bank se loan lene me to sood hoga. Haraam maal ko istimaal karke jaana ye intihaai darje ki be-wuqoofi he. Allah Ta`ala haraam ko qubool hee nahi karte. To phir haj ya umrah ka kya faaidah huwa.

Jab aapke paas maali wus'at nahi to apne aapko mushkilaat me kyu phasaate ho. Allah ne usko aapke liye fardh to kya nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.