Maa baap ke qaza roza kon karega?
Question
Mujhe yeh poochna hai ke agar kisi ke maa baap ke roze qaza huwi ho toh in ki qaza poori karna maa baap khud karege yaa bachon kaa haq hai ke woh unki qaza poori kare? Kon karega?
Answer
Maa baap khood kare. Tamaam fardh roze aur namaaz me tamaam aimmah kiraam ka ittifaaq he ke khood karne se adaa hoga. Doosro ke karne se adaa nahi hoga.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.