Kiya dua taqdeer badal sakti?

· 18 Jumada II 1442 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsAqeeda

Question

Kiya Allah paak ne hamare nikah ka rishta pehle hi bana ke rakha hai? Matlab jiss ke saath mera nikah hoga kiya Allah ne pehle hi likh ke rakha hai taqdeer mein? Kiya dua hamari taqdeer badal sakti hain?

Answer

Taqdeer me to har cheez likhi huwi he. Koi bhi cheez aysi nahi he jo taqdeer me likhi huwi na ho.

Dua karte raho yaqeen karte huwe ke Allah Ta`ala aapki dua ko qabool karega aur is qism ke khiyalaat ki taraf jee ko na lagaao ke dua taqdeer ko badal sakti he ya nahi. Jis tarah aur cheezo keliye tum koshish karte ho, khaane me peene me mehnat mazdoori me, dukaan tijaarat me, har cheez me aur samajhte he ke har cheez taqdeer me he lekin uske bawajood koshish karte he. To yaha par bhi aysa hee samjho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.