Pareshaani owr gabrahat ke lia wazifa

· 20 Shawwal 1434 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsWazaaifPareshaani

Question

Meri dil me hamesha gabrahat, preshani, waswasa, tars hai or meri dil bahot zor se dub dub kamrta hai q baat be nahi hoti hai wasi wasi estara meri saat hota hai agar koi Qurani dua ya mashwara ho to zuroor batadejia.

Answer

Har pareshaani ka hal Allah ke haat me he. Agar banda apne zindagi ku Allah ke marziyaat ke mutaabiq banai owr sunnat wali zindagi guzaar de to Allah Ta'ala us ke pareshaani dowr karenge, us ku kush rakenge owr har qisam ke taraqqi se maala maal farmaienge. Panch waqt ki Namaaz ki paabandi karo aur apni zindagi ko Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat ke mutaabiq guzaro. Harwaqt zabaan aur ankh ki hifaazat karo. Gunaah waali zindagi se bacho. Allah Ta'ala aasaan farmaienge. Paanch waqt ke namaazo ke ba'd ye duaa kasrat se parhe: رَبِّ إنِّيْ مَغْلُوْبٌ فَانْتَصِرْ - Ay Allah me magloob hu, Tu meri madad farma.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.