Asr namaaz ke bad, tawaaf ke do rakaat parhna
Question
Asar namaz ke baad, Maghrib se pehle to us waqat namaz parhna makrooh hota hai. To Tawaf-e-ziyarat mai 7 chakar pure karne k baad, maqam-e-ibrahim par 2 rakat nafl parh sakte hain yaa nahin? Agar parh liye 2 rakat Asar namaz k baad Maghrib namaz se phele, to koi masla to nahin? Hajj qabool hoga yaa nahin?
Answer
Hajj poora hogaya, leikin tawaaf ki ye do rakat us waqt (asr namaaz parhne ke bad) na parhe, balke ye do rakat maghrib ke bad parhe. Agar kisi ne us waqt parh liya, to namaaz ada hogi leikin karaahat ke saath. Lihaza aadmi ko chahiye ke wo taubah kare aur aaindah is se ijtinaab kare. Baz fuqaha jeise Saahib-e-Lubaab ne farmaaya ke agar kisi ne asr namaaz parhne ke bad in do rakat waajibut tawaaf parh liya to us ke liye behter he ke wo in do rakat ko maghrib ke bad iaada kare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
- Checked & approved by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.