Pareshani ko door karne ka tareeqah
Question
Mujhe kafi time se ajeeb ajeeb sa dil hota hai kabhi gusa ata h kabhi bezar hote hun kuch ajeeb sa lagta hai mujhe nend nahi ate sardar mujhe samajh nhi a raha mujhe kiya huwa h aap bta dain.
Answer
Allah Ta`ala aapke mushkilaat ko door farmaade. Baze dafa ye haalaat aate he aur Allah Ta`ala ye dekhna chaahta he ke bandah sabar karta he ya nahi. Ayse mouqe par bandah ziyadah Allah Ta`ala ki taraf rujoo karde aur apna ta`alluq Allah Ta`ala ke saath ziyaadah madhboot banaade.
Rozana ghar me Fazaa'il-e-A`maal, Fazaa'il-e-Sadaqaat aur Bahishti Zewar ki taleem shuroo karde, Qur'aan Shareef ki tilaawat bhi karde aur dua ka ihtimaam bhi kare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.