Roti akhbaar me lapetna
Question
Mera aap se ye sawal ha k hum bazar se tandoor se roti laty hain wo hamko akhbaar me roti lapet kar deta ha aksar akhbaar me Allah ka nam qurani ayat ka tarjuma hadith or islamic bat hoti ha. Kia ye jaiz he or is akhbaar ka ham kia karen kia isko ham jala sakty hain ya is akhbaar ka kia kiya jaye behter hal batain?
Answer
Yeh bilqul jaaiz nahi hai ke aisy akhbaar (jisme Allah Ta'ala ka naam ya Rasulullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka naam ya Quraani aayat ya Hadith ho) istimaal kiya jaaye aise kaam ke liye. Aisy akhbaar adab se parhi jaaye aur kisi uunji jagaa par rakhi jaaye adab ke saat. Agar unka istimaal nahi hai to unko dafan kiya jaaye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
- Checked & approved by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.