Ghulam Ahmed Qaadiyaani ku theek maane wali larki se shaadi
Question
Agar koi larki khatme nabooat per Imaan rakhte he or wo ghulam ahmed qadyani ko bhe thek mante he to aik muslim larka us se shadi kar sakta he? Wo larki apne aap ko muslim kehti he.
Answer
Jo Ghulam Ahmad Qaadiyani ko theek maanta hai, woh Musalmaan nahi hai kyun ke Ghulam Ahmad Qaadiyani kehta tha ke woh Allah ke nabi hai Rasulullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ba'd owr Rasulullah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne irshaad farmaya ke mere ba'd koi nabi aane wala nahi hai. Us larki se shaadi karna jaaiz nahi hai.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
- Checked & approved by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.