Waalidayn ke liye du`aa-e-maghfirat
Question
Meray walid ka kuch din pehlay intiqal ho gaya. Main nay un ki na farmani to nahin ki lekin aakhri dinon main un ki dekh bhaal main kafi kotahiyan huin. Kia yeh cheez na farmani kay zumray main aati hay. Agar cheh meray walid mujh se naraz nahin thay. Lekin agar unhon ne narazgi apne dil main rakhi to kia meray liye muafi ka koi tareeka ho sakta hay. main kia karoon k is cheez ka kaffara ada ho jae?
Answer
Istighfaar karo aur waalidayn ke liye du`aa-e-maghfirat karo, unki taraf se sadaqah karo aur unke pasmaandagaan aur dost azeez ke saath achcha sulook karo. Insha-Allah uski talaafi hogi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.