Kai baar qasam towrna

· 23 Jumada I 1435 AH1 min readEnglish
Qasam owr mannat

Question

Maine quran pe hath rakh ke kai bar qasam khayi aur wo qasam mujhse tot gayi hai. Mujhe yad bhi nahi hai ki maine kitni bar qasam tori hai. Magar main ab kaffara ada karna chahta hoon. To maine ye socha hai ki main 1 kaffara 1 mahine me ada karronga kya main aisa kar sakta hoon. Aur kya mujhe ek sath sare kaffare ada karne hoge. Mujhe yaad nahi phir bhi maine andaza lagaya hai ki main 10 kaffara ada karronga. Please mujhe zarror batiye ki kya main aisa kar sakta hoon ki nahi. Mujhe pata hai ki kaffra kya hota hai. 10 logo ko do waqt ka khana khilana hai magar main ye poochna chahta hoon kya aisa hai ki jin logo ko din ka khana khilaya hai unhi logo ko raat ka khana khilaya jaye. Aur kya alag alag log wo sakte hai matlab din me alag 10 log aur raat me alag 10 log.

Answer

Aik aik kaffaarah ko ada karo, chaahe jitne bhi din ho jaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.