Khwaab ki ta'beer
Question
Me nay kawab me dekha kay 10 muharram ka din hy aur nangay paun white kaprun me julus nikal rahy hen loag sath me me nay camel ki qurbani bi dekhi hy aur buht khoon bi ajib tariqay say zibah hotay dekha. Mujhe sukun na aa raha tab say bechain he tabiat.
Answer
Tumhari zindagi ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki Mubaarak Sunnat wali zindagi ke mutaabiq banow owr neak logo ke suhbat me raho. Allah Ta'ala aap ku kaamiyaabi naseeb farmaenge. Khwaab ki ta'beer ye he ke das Muharram par bohot se bid'aat ke kaam hote he Deen ke naam par. Is lia aap ku chahia ke ayse kaamo se parhez kare jo Sunnat ke khilaaf ho.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.