Khwaab ki ta'beer

· 12 Jumada I 1436 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beer

Question

Me aksar khuwab me daikhti hun ke meri shadi ho ri hai shadi ka mahool ni hota mgr me taiyar hoti hn and second ye ke meri mumani ka intiqal ho gya hai 10 din huwe hain wo sirf mere he khuwab m q aati hai apne bachon k khuwab m ni aati ek bar wo i unhn ne kaha k mje ek bar qabar m dala fr nikal fr dala mje buhat takleef hoe fr m guzarti hn to unko mera paon unke angothe m lgta hai m bht mafi mangti hn to mje kehti hain koe bat ni beta r tu durood shareef q ni parhti plz mje en dono ka jawab de den.

Answer

1. Allah Ta'ala aap ki halaal tamanna poori karde owr aap ku khush rakhe.

2. Qur'an Shareef ka kuch hissa par kar ya kuch sadaqa de de owr us ka sawaab apne marhooma momaani ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.