Mustaqbil ka ilm

· 2 Jumada II 1436 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsAqeeda

Question

Aap bata sakte hai ke mein apni life mein uper jaon ga ya nahi?

Answer

Mustaqbil me kya hone wala he, ye sirf Allah Ta'ala ke ilm me he. Koi owr nahi jaanta he ke us ka mustaqbil kaisa hoga. Lekin kaamiyaab banne ke lia Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne hume ayk tareeqa bataya. Agar hum Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke bataye huwe tareeqe par chalenge, to hum kaamiyaab honge owr hamesha khush rahenge. Wo tareeqa Deen ka tareeqa he. Agar banda Allah Ta'ala ke huqooq poora kare owr lowgo ke huqooq bhi poora kare owr gunaah wali zindagi se bache, owr sunnat wali zindagi par chale, to wo kamiyaab banjaega. Mazeed tafseel ke lia is link ku dekho http://muftionline.co.za/node/4745

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.