Shia larki se shaadi karna

· 4 Jumada II 1436 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsShaadi

Question

I am Sunni. Me ayk larki se shaadi karna chahta hun. Wo log bohot ache hain. Phir wo log shia hain. Kya shia larki se shaadi karna jaez hay? Kya shia aur sunni ke darmyaan shadi hosakti hay? Kya shia ko sunni bana kar shadi kya ja sakta hay ya is ke elawa aur koi tareeqa hay? Tafseel me bataen?

Answer

Shia log umooman Quraan Shareef ke andar tahreef karte he, aur ye imaan rakhte he ke Quraan Shareef jis tarah munazzal minas sama tha us tarah mahfooz nahi. Neez, Sahaabah-e-kiraam (radhiyallahu anhum) ki tanqeed aur takfeer karte he. Ahlus sunnah wal jamaa'ah ki aqeeda ye he je jo shakhs Quraan Shareef ki eik aayat ko bhi ghalat kahe ya inkaar kare to wo kaafir he. Ayse lowgo se nikaah karna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.