Shubuhaat ki wajah se rishta ku khatam karna
Question
Mein ne haal he mein nikaah kiya. Nikaah karne ke bad muje pata chala ke meri biwi ke nikah se phele kisi ladke ke sath affair the. Ho sakta hai ki us ne zinnah be kiya hoga. Ab mere dimag mein har waqat yahi tension rehta hai. Mein ne usse be is bare mein baat ki lakin woh bolrahi hai ke yeh jute hai. Mein is rishtey ko khatam karna chata houn. Please advise.
Answer
Khwa ma khwa mahaz shubhaat ki wajah se rishta ko khatam ne kare. Bohot see dafa mard bhi aysa hota he ke usne kuch na munaasib harkat kee ho. Jab Allah ne aap ke qusoor aur kotaahi ko chupaaya to doosro ki kotaahi aur qusoor ko chupaani chaahiye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.