Khwaab ki ta'beer

· 25 Rajab 1436 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beer

Question

Meri bahen ne ek khawab dekha hai ke ek ajeeb si ladki meri choti bahen ko marne ke liye daura rahi (ab jaan se marne ki niyyat se ya khiyaal karne ke liye yeh nahi pata) mere ghar mein daura rahi hai. Meri bari bahen meri choti bahen ko bachane ki liye use kamre mein band kar deti hai, par woh ladki jaise darwaze mein se kamre mein aane lagti hai yeh dekh meri bahen use dhakka dena chahti hai jisse us ladki ki do angothiya meri bari bahen ke haath mein aa jati hai aur woh gayab ho jati hai.

Answer

Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.