Khwaab ki ta'beer

· 9 Dhuʻl-Qiʻdah 1436 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beer

Question

Maine khwab main dekha ke main apni ammi ke ghar hun wahan ek almari ke paas khari hun wahan quran e karim rakha hai wo ekdam se niche girta hai main usko foran utha kar wapas rakh deti hun usi jagah. Iska kya matlab ho sakta hai please batayen.

Answer

Qur'an Shareef Allah Ta'ala ki kitaab he owr Allah Ta'ala ka paighaam he. Khwaab ki ta'beer ye he ke jo lowg Qur'an Shareef ki ta'zeem owr ihtiraam kare owr Qur'an Shareef ke ahkaamaat apne zindagi me leae, Allah Ta'ala un ku zindagi me izzat owr kamiyaabi naseeb farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.