Khwaab ki ta'beer

· 23 Dhuʻl-Qiʻdah 1436 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beer

Question

Mera sawaal ye hai ki Maine khawb dkha ki mai boht bemar hun owr mere Daaadiii aur Naniiii mje bht hi khidmat Karti hai wou dounu margaye hai. Mai soye hote hun aur wou donu mere right mai aik left side mai doosri bethi hoti hai. Phir jab mere aankh khuli mai sach mai bht bemar thi. Iski kya tabeeeer hai?

Answer

Apne marhoom naani owr daai ke lia Qur'an Shareef ka kuch hissa parh kar ya kuch sadaqah dede owr us ka sawaab un downo ke lia bhejde. Iss tarah paanch waqt ki namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.