Qur'an Shareef par haat rakh kar qasam khaana
Question
Quran Paak par hath rakh kar qasam khana ke me ye kam chor du ga aur kch din bd wohe kam dobara shoru kar dyna es ke mutaliq explain krna plzzz.
Answer
Agar qasam ke alfaaz istimaal kia ho to ye qasam saheeh aur mu`tabar hogi. Usko torne se qasam ka kaffaarah adaa karna chaahiye. Qasam ka kaffarah 10 ghareeb logo ko do waqt ka khaana khilaana he ya 10 ghareebo ko eik eik joru kapra dena jis me namaaz hosakti he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.