Thyroid ki bimari ki wajah se Husband wife ko talaaq dena
Question
Thyroid ki bimari ki wajah se Husband wife ko talaq de raha hai. Kya ye sahih hai? Agare galat hai to us par kya action liya ja sakta hai?
Answer
Agar khaawind ki tabeeat kisee wajah se biwi se hati huwi he aur woh darta he ke khuda ne khaasta ke koi haq talfi ho jaaye to uske liye durust he ke woh ihtiraam aur izzat ke saath us se alaahidah ho jaaye. Alaahidgee ki wajah bataade ke ham us se gurez kar rahe he ke kahee aapki haq talfi ne ho jaaye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.