Khwaab ki ta'beer

· 23 Dhuʻl-Hijjah 1436 AH2 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beer

Question

Sir mai ne abroad jane k lie istikhara kia tha 3 din tak isha ki namaz k bad dua parh k sogai 1st and 2nd day mujhe kuch samajh nhi aya lakin 3rd day mai ne khuab mai dekha k mai apni chat p hun, chat ki dewar p kuch cards lagay hue hain red or white color k, white color wazay ha, mai ne wo cards jama kie phhhir mai ne blue color ka dress pehna hua ha ( meray pas ha ek reshmi blue sout, wahi wala) or meray sir p ek bird aaa k beth jati ha, mai ne sir dupattay se cover kia hua ha. churya meray sir mai phonk rhi ha, mujhe bht a cha lag rha ha meray samnay ek tree ha green color ka mai apna sir tree ki taraf move karti hun k wo churya tree p chali jay, (wo tree asal mai ek chota sa poda ha) mai apna sir taqreeban us poday se lga deti hun mgr churya nahi jati. Phir meri aankh khul gai or mai ne beech mai ami se bat kar li phir jab mai dobara soi to khuab mai dekha k kahin blast hua ha ami or abuko zakham aye hain kia ye akhir wala khuab istakhare mai shamil hooga?

Answer

Khwaab ku us ke saat taalluq nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Q: Kia istikhara theek ha? Kia mai try karon abroad jane ke lie?

A: Aap apne baro ke saat mashwarah kare. Agar muntaqil hone me tumhare owr tumhare ghar walo ke lia faaida mand owr acha he Deen owr dunya ke i'tibaar se, to aap muntaqil ho sakte.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.