Peeche ke raaste me humbistari karna

· 25 Dhuʻl-Hijjah 1436 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsShaadi

Question

Sureen me sex karny se gunha hai ab mujhy ptaha chala hai. Ab kiya karon our pehcy nahi karta tu sukon nahi milta. Ab kiya karon guna hai. Ab kio rasta batwo.

Answer

Ye bohot hi sangeen gunah he. Jaanwar bhe aysa kaam nahi karta he. Bohot sakt waeed Hadith Shareef me bhi aya ayse logo ke lia jo ye kaam me mubtala hote he.

Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne irshaad farmaya ke jo aadmi biwi ke saat humbistari kare haidh ki haalat me ya sureen me, ya kisi kaahin (faal goh) ke paas jaae, to us ne kufr kiya (aur rad kiya)us cheez ku jo Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke upar utri (ya'ni Shari'at ka hukm).

Ayk Hadith Shareef me Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne irshaad farmaya ke Allah Ta'ala karam ki nigaah se us mard owr awrat ku nahi dekhte he jo peeche ke raaste me (sureen) humbistari kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.