Sureen ke raaste me humbistari karna

· 16 Jumada II 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsShaadiurdunikaahintimacyanal sex

Question

Agar husband apni wife say peachay say sex kar lay to kia penalty pay karni paray gi?

Answer

Ye bohot hi sangeen gunaah he. Jaanwar bhe aysa kaam nahi karta he. Bohot sakt waeed Hadith Shareef me bhi aya ayse logo ke lia jo ye kaam me mubtala hote he.

Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne irshaad farmaya ke jo aadmi biwi ke saat humbistari kare haidh ki haalat me ya sureen me, ya kisi kaahin (faal goh) ke paas jaae, to us ne kufr kiya (aur rad kiya) us cheez ku jo Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke upar utri (ya'ni Shari'at ka hukm).

Ayk Hadith Shareef me Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne irshaad farmaya ke Allah Ta'ala karam ki nigaah se us mard owr awrat ku nahi dekhte he jo peeche ke raaste me (sureen) humbistari kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.