Bache ku coffee, sweets, cooldrink, waghairah se bachaana

· 1 Muharram 1437 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsNaseehat

Question

Mera beta chaar saal ka hai lekin wo itna rota hai, zid karta hai, marta hai apney bhaiyon ko. Ghusey ka boht tez hai, mei us k liye boht pareshan hoon. issi ghusey aur roney ki waja se us ne haklana bhi shuru kar dia hai. Jis ka wazeefa mei ne aap se lia tha. Wo mei parh rahi hoon, lekin is ka rona aur ghusa krna, zid krna din badin barh raha hai. Khudara mujeh koi wazeefa batayen jis se Allah Pak mere is bachey per aasaniyan karey aur is ka ghusa, zid, rona khatam ho jay. Allah pak aap ko jaza e khair ata farmaye. Ameen

Answer

Sakhti se unko coffee, sweet, chocolate, cooldrink se bachaaye aur tayyaar cheeze jo dukaano me bikte he us se sakhti se ihtiraaz karaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.