Showhar biwi ko gussay may kehna "Jao mene tumhain azad kia"

· 13 Safar 1437 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsTalaaqurdutalaaqazaad

Question

Agar shohar biwi ko gussay may kahay "Jao mene tumahain azad kia" tum farig ho meri taraf se" and kai bar kahay eik sath. Aur time to time like eik month ke bad bhi yehi ilfaz kahay. Phir again kch arsay ke bad kahay tu kia isse talaaq ho jati hai? Ayk aur bat add karna chahun gi. Bad me agar khaawind kahay ke meri talaq denay ki niyat nai thi but usne hamesha gussay me kahay ye ilfaz. To kia ye talaq ho gayi?

Answer

Agar aapke yahaa urf ye he ke in alfaaz se aammatan talaaq hoti he to talaaq-e-raj'ee ho jayegi. Owr agar aapke yahaa urf nahi he, to showhar ki niyyat par mawqoof he. Agar in alfaaz ke bowlne ke waqt us ki niyyat talaaq thi, to talaaq-e-baain hojaegi warna talaaq nahi hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.