Har waqt aakhirat ki fikar saamne rakhna
Question
Maine khwaab me dekha ke ek video chal rahi he jisme mere gunah ginaye ja rahe he jaise akhirat me hoga. Mai ye khwaab dekh kar bhot pareshan hu. Iski tabeer kya he?
Answer
Musalmaan ku chahia ke har waqt aakhirat ki fikar saamne rakhe owr qabar ke lia tayyari kare. Aqalmand aadmi wo ho jo qabr owr aakhirat ke hisaab se pehle, apna hisaab lele owr apne aa'maal ku durust karle. Agar banda apne aamaal durust ne kare owr gunaah karte rahe, to qiyaamat ke rowz bari ruswaai owr zillat bugatni paregi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.