Khwaab ki ta'beer

· 19 Shaʻban 1437 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Mujhe ek khwab ki tabir jaanni hai maine dekha ke asmaan me stars bhut shine kar rhe hai aur kuch stars one by one change ho rahe hai aur unme khana e kaba dikh rha hai fir similarly kuch stars jo hai change ho rhe aur usme madina sharif dikh rha hai aur ye sab jo mujhe dikh rha tha mere sath koi person (male) dikh rha hai aur dono bhi khana e kaba aur madina sharif dekh k dua kar rhe hai is khwab ki kya tabeer ho sakti hai plz batae.

Answer

Allah Ta'ala aap ku Haramain Shareefain ki ziyaarat naseeb farmae owr Sunnat ke raaste par chalna aap ke lia asaan farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.