Khwaab ki ta'beer
Question
Maine ek khwab dekha hai. Khwab me meri walida meri dukaan par aayi hai aur kahrahi hai ke mere beteko kitna qarza hoga. Maine unka haath pakad kar sidi chadaya aur kursi par bhitaya. Meri valda dark blue colour ki saree aur safed rang ka kurta pahna huye hai aur walida ke koi aur bhi khatoon hai. Mai unhe nahin dekhpaya. Meri walida ka inteqaal hokar do mahine huwe hai. Please iski tabeer bataiye.
Answer
Aap ki waalida aap ke Deen aur dunya ke baare me fikar mand he. Wo chaahti he ke aap ke dunyawi umoor shariat ke mutaabiq ho jaaye aur tum deen ke oopar pukhta ho jaaye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.