Khwaab ki ta'beer

· 11 Rabiʻ I 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Mujhe khawab ki tabeer maloom karni hai, main ne guzishta kuch din phele dekha k mere walid marhoom khawab mai aaye. or unhon nai mujhe white shirni di .jis men bohat sa doodh or mewa tha.kal doobara main ne dekha mere walid marhoom k hath main mithai ka daba hai or us men se unhon ne mujhe white chum chum di. wo main ne kha li . lekin main ne dabe main se barfi bhi nikali or kha li jo k bohat laziz thi.. mujhe umeed hai mufti sahab aap mujhe tabir se aagah zaroor karen ge.

Answer

Ye achcha khwaab he. Ye khush haali ki taraf ishaarah he. Allah Ta'ala aap ku barkat naseeb farmae owr hamesha aap ku khush haali owr aafiyat me rakhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.