Khwaab ki ta'beer
Question
Maine khwab dekha ke mere haath me ek kitaab hai jisme choti choti aayat likhi hui hai. Maslan sureh ikhlas sureh naas wagera.. Aur mai usme se sureh tabbat yada wird kar rhi hu aur usko zabani yaad kar rhi hu.. iski tabeer jaanna hai.
Answer
Panch waqt ki namaz ko apne saheeh waqt par musjid me baa jamaaat parhne ka ihtimaam kare, aur tamaam na mahram logo ke saath parda ka ihtimaam kare. Rozanaa aap apne ghar waalo ke saath Fazaail Aamaal aur Fazaail Sadaqaat ki ta'leem kare aur thori der Durood Shareef parhne aur istighfaar karne ke lie waqt nikaale.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.